Kunwer Azlan – Faraib (Download Mp3/Lyrics)

SHARE

faraib-kunwer-azlan

Artist: Kunwer Azlan
Song: Faraib
Rap/Vocals: Kunwer Azlan
Lyrics: Kunwer Azlan
Music composed and produced by: Umair Khan
Recorded at Heavy Mental Studio.
Record label: Heavy Mental Records

Kunwer Azlan, A newly coming Rapper and Writer, He started writing poetry and songs from the age of 14, He wrote is first single track on Criteria of people he saw acting like his track was so called “Muffte” and released it in October 2013 with association of Band Lunatix.
He joined a band named Lunatix and left it in few months due to some domestic issues.
Nowdays he is a member of Heavy Mental crew and a signed artist of Heavy Mental Records. He is working on his new track and Music video of “MUFFTE
His Music is produced in Heavy Mental Studios by Umair Khan.
Arbab Fahim is his offical manager.

Download Mp3!

Take a listen to the song below:

Take a listen to the song below:

Lyrics:

Verse 1: Teri yaadon ka mashup sar pey, dekh ro raha hun mein kabsey. Dil tujhse milne ko tarsey, ghusse mein khud pe hi barsey. Jabse chora tune mujhko, Dhoondta hun khud me khud ko, chaiye mujhe buss tu pakrabetha hun issi zid ko. Kiya tum mujsey bezaar they, ya mujh jese hazaar they, koi mushkil thi tou aik baar tou puqaar te. tumne tou jhutlake chand lamho me bhula diya na pee mene kabhi sharab na hi tujhe dhoka dia. Sataya tune jitna bhi le usko mene maaf kiya, ghalti meri thi,ja mene jurm ka etraaf kiya. Jiya roz par marra har pal kaisey batao tujhey, Kaate apne haath, or ansoon se ankhein sooje. Is hi dil k maalik they tum, jo tumney aaj tor dia, jannat ko jata rasta, dozakh ki jaanib mordia. Buss band karde ab khuaab mein aana, rokde mere dil ko jalana, nahin bacha ab koi bahana,Badal chuka ab yeh zamana..

Chorus (x1) : Pal pal tera saath nibhaata main, Aik ishare pe duniya chhor jata main, Beech samandar ke le ja ke Faraib kiya tumne, Tum kehtay tou kinare peh hi doob jata main.

Verse 2: Nahin mera tera wasta, dhokhey baaz tou na they tum dil bhi tumhara saaf tha, meri mushkilon ka kya, har lamhe ka ehsaas tha, han tha me thora door, par dil tou tumhare paas tha na. Na koi din thi na raat thi, bus mere saath mere khuda ki aik zaat thi, or mujhe teri kuch baatein yaad thin, or wo baatein mujhe aaj bhi hain kaat’ti, par tere andar ki rooh kyun nahin jaagti, kyun aaj bhi tu paisey ke peechey bhaagti, do saal phele tu hi tou mere saath thi, or tune hi tou kaha tha khuda ko tum maano, wafa ko tum jaano, le aaj mene khuda ko bhi maana, wafa ko bhi jaana, kya yehi tha tera thikana. Barishon me chal ke ansoo chupae, teri yaadon mein kai khat bhi banae, tere sapno pe apne sapne lutae, teri baaton ne kai sabaq bhi sikhae or aaj mein yeh sabaq bhi seekh gaya bura waqt tha ab wou bhi beet gaya.

Chorus (x1) : Pal pal tera saath nibhaata main, Aik ishare pe duniya chhor jata main, Beech samandar ke le ja ke Faraib kiya tumne, Tum kehtay tou kinare peh hi doob jata main.

Outro : Pal pal tera saath nibhaata main, Aik ishare pe duniya chhor jata main, Beech samandar ke le ja ke Faraib kiya tumne, Tum kehtay tou kinare peh hi doob jata main.

Leave Your Comments Through Facebook